Ticket Helpline: +91 98765 43210
شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Theme: #ishq × Letter: I ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 8 Couplets available
#ishq شعر
ishq hai be-gudāz kyuuñ husn hai be-niyāz kyuuñ
merī vafā kahāñ ga.ī un kī jafā ko kyā huā
#ishq شعر
itnā sochā tujhe ki duniyā ko
ham ne terī nigāh se dekhā
#ishq شعر
badan meñ jaise lahuu taaziyaana ho gayaa hai
use gale se lagaae zamaana ho gayaa hai
#ishq شعر
ḳhvāhish-e-dīdār meñ āñkheñ bhī haiñ merī raqīb
saat pardoñ meñ chhupā rakkhā hai us ke nuur ko
#ishq شعر
mire qatl par tum ne biiḌā uThāyā
mire haath kā paan khāyā to hotā
#ishq شعر
kal chaudhwin ki raat thi shab bhar raha charcha tera
kuchh ne kaha ye chand hai kuchh ne kaha chehra tera
#ishq شعر
dafn mahbūb jahāñ haiñ 'nāsiḳh'
qabreñ ham chuum liyā karte haiñ
#ishq شعر
Jazba-e-'ishq salaamat hai to Insha-Allah
Kachche dhaage se chale aayenge sarkaar bandhe
Showing 1 to 8 of 8 items