Ticket Helpline: +91 98765 43210
شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Theme: #ishq × Letter: W ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 14 Couplets available
#ishq شعر
Wo bigaDna wasl ki raat ka wo na maanna kisi baat ka
Wo nahin nahin ki har aan ada tumhein yaad ho ki na yaad ho
#ishq شعر
Wo nae gile wo shikayatein wo maze maze ki hikayatein
Wo har ek baat pe ruthna tumhein yaad ho ki na yaad ho
#ishq شعر
Wo jo lutf mujh pe the peshtar wo karam ki tha mere haal par
Mujhe sab hai yaad zara zara tumhein yaad ho ki na yaad ho
#ishq شعر
Wo jo hum mein tum mein qaraar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
Wahi ya'ni wa'da nibaah ka tumhein yaad ho ki na yaad ho
#ishq شعر
hum ne aalam se bewafai ki
ek mashuq-e-bewafa ke liye
#ishq شعر
tu hum se hai bad-guman sad afsos
tere hi to jaan-nisar hain hum
#ishq شعر
aziz agar nahin rakhta na rakh zalil hi rakh
magar nikal na tu apni anjuman se mujhe
#ishq شعر
vo KHush-kalam hai aisa ki us ke pas hamein
tawil rahna bhi lagta hai muKHtasar rahna
#ishq شعر
Wafa ka ahd tha dil ko sambhaalne ke liyeWo hans paDe mujhe mushkil mein Daalne ke liye
#ishq شعر
be-murawwat ho bewafa ho tum
apne matlab ke aashna ho tum
#ishq شعر
Ai 'Wali' kyun sun sake naseh ki baatJo diwana hai pari-ruKHsar ka
#ishq شعر
Yaad karna har ghaDi tujh yaar kaHai wazifa mujh dil-e-bimar ka
#ishq شعر
Jise ishq ka tiir kaari lageUse zindagi kyun na bhaari lage
#ishq شعر
Wafa tujh se ai bewafa chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun
Showing 1 to 14 of 14 items