Ticket Helpline: +91 98765 43210
شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Theme: #husn × Letter: A ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 12 Couplets available
#husn شعر
apne markaz ki taraf mail-e-parwaz tha husn
bhulta hi nahin aalam teri angDai ka
#husn شعر
kis ne bhīge hue bāloñ se ye jhaTkā paanī
jhuum ke aa.ī ghaTā TuuT ke barsā paanī
#husn شعر
abrū kā ishāra kiyā tum ne to huī iid
ai jaan yahī hai mah-e-shavval hamārā
#husn شعر
Jis taraf tu hai udhar hongi sabhi ki nazren
Eid ke chand ka deedar bahana hi sahi
#husn شعر
Hai qayamat tire shabab ka rangRang badlega phir zamane ka
#husn شعر
aise hans hans ke na dekha karo sab ki jaanib
log aisi hi adaon pe fida hote hain
#husn شعر
aalam-e-husn hai wo naqsh-e-maani 'saqib'
jo meri tab-e-KHuda-dad ne ijad kiya
#husn شعر
Dil ki bisat kya thi nigah-e-jamal mein
Ik aaina tha TuuT gaya dekh-bhaal mein
#husn شعر
Yun muskurae jaan si kaliyon mein paD gai
Yun lab-kusha hue ki gulistan bana diya
#husn شعر
Zahid ne mera hasil-e-iman nahin dekha
RuKH par teri zulfon ko pareshan nahin dekha
#husn شعر
āshiq ko dekhte haiñ dupaTTe ko taan kar
dete haiñ ham ko sharbat-e-dīdār chhān kar
#husn شعر
Hai justuju ki khoob se hai khoob-tar kahanAb Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan
Showing 1 to 12 of 12 items