Ticket Helpline: +91 98765 43210
شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Theme: #dard × Letter: S ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 24 Couplets available
#dard شعر
Sabhi jaada-e-maatam sakht hai kaho kaisi gardish-e-bakht hai / Na wo taaj hai na wo takht hai na shaah hai na dayaar hai
#dard شعر
Shab-o-roz phool mein jo tule, kaho khaar-e-gham ko wo kya hai / Mile tauq-e-qaid mein jab unhen kaha gul ke badle ye haar hai
#dard شعر
mushkil hai rok āh-e-dil-e-dāġhdār kī
kahte haiñ sau sunār kī aur ik luhār kī
#dard شعر
ab ik rūmāl mere saath kā hai
jo merī vālida ke haath kā hai
#dard شعر
suunii suunii sii hai har bazm-e-suḳhan tere baad
ḳhatm hai silsila-e-azmat-e-fan tere baad
#dard شعر
hath na aai duniya bhi aur ishq mein bhi gumnam rahe
soch ke ab sharminda hain kyun donon mein nakaam rahe
#dard شعر
hamein kahti hai duniya zakhm-e-dil zakhm-e-jigar wale
zara tum bhi to dekho hum ko tum bhi ho nazar wale
#dard شعر
hamesha KHun-e-dil roya hun main lekin saliqe se
na qatra aastin par hai na dhabba jaib o daman par
#dard شعر
meri nash ke sirhane wo khaDe ye kah rahe hain
ise nind yun na aati agar intizar hota
#dard شعر
Saare dekhe hue hain Dilli ke attaar-o-tabeeb
Dil ki beemaari ki kis paas dawa nikle hai
#dard شعر
Soz-e-seene ka bhi dilchasp bala hai apna
Daagh jo nikle hai chhaati se gumaan nikle hai
#dard شعر
Soorat jaras ki tarz-e-biyaabaan mein haaye Mir
Tanha chala hoon main dil-e-pur shor ko liye
#dard شعر
Sad kaarwaan wafa hai koi poochhta nahin
Goya mataa-e-dil ke khareedaar mar gaye
#dard شعر
siine mein ik khatak si hai aur bas
hum nahin jaante ki kya hai dil
#dard شعر
Sham'a-e-shab-e-firaaq bane hum to Mushafi
Hum dil-jalon ko aish ki mehfil se kya khabar
Showing 15 of 24 on this page • Scroll or click for more
Showing 1 to 24 of 24 items