Ticket Helpline: +91 98765 43210
شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Theme: #ishq ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 20 Couplets available
#ishq شعر
kya kahun tujh se mohabbat wo bala hai hamdam
mujh ko ibrat na hui ghair ke mar jaane se
#ishq شعر
Roz kahta hun ki ab un ko na dekhunga kabhi
Roz us kuche mein ek kaam nikal aata hai
#ishq شعر
Main dekhta hun aap ko hadd-e-nigah tak
Lekin meri nigah ka kya e'tibar hai
#ishq شعر
Pahli nazar bhi aap ki uff kis bala ki thi
Hum aaj tak wo choT hain dil par liye hue
#ishq شعر
main ne 'fani' Dubti dekhi hai nabz-e-kaenatjab mizaj-e-yar kuchh barham nazar aaya mujhe
#ishq شعر
Jadu hai ya tilism tumhaari zaban mein
Tum jhuT kah rahe the mujhe e'tibar tha
#ishq شعر
Dil mohabbat se bhar gaya 'beKHud'
Ab kisi par fida nahin hota
#ishq شعر
Agar dard-e-mohabbat se na insan aashna hota
Na kuchh marne ka gham hota na jine ka maza hota
#ishq شعر
Dil ki choton ne kabhi chain se rahne na diyaJab chali sard hawa main ne tujhe yaad kiya
#ishq شعر
Aage baDhe na qissa-e-ishq-e-butaan se hamSab kuchh kaha magar na khule raaz-daan se ham
#ishq شعر
Hoti nahin qubool dua tark-e-ishq kiDil chahta na ho to zabaan mein asar kahan
#ishq شعر
Ghazab kiya tire va'de pe e'tibaar kiyaTamaam raat qayaamat ka intizaar kiya
#ishq شعر
Tumhaare khat mein naya ik salaam kis ka thaNa tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
#ishq شعر
Wafa tujh se ai bewafa chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun
#ishq شعر
Nahin aati to yaad un ki mahinon tak nahin aati
Magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain
Showing 15 of 20 on this page • Scroll or click for more
Showing 51 to 70 of 70 items