Ticket Helpline: +91 98765 43210
شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Theme: #sharab ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 11 Couplets available
#sharab شعر
dur se dekhne ka 'yas' gunahgar hun mainaashna tak na hue lab kabhi paimane se
#sharab شعر
chorii KHudaa se jab nahiiN bandoN se kis liye
chhupne meN kuchh mazaa nahiiN sab ko dikhaa ke pii
#sharab شعر
hazar tarah ki mai pi hazar tarah ke zahr
na pyas hi bujhi apni na hausla nikla
#sharab شعر
tamam anjuman-e-waz ho gai barham
liye hue koi yun saghar-e-sharab aaya
#sharab شعر
abhi to hazrat-e-vaiz mazammat mai ki karte hain
agar mai-KHane mein un ka guzar hoga to kya hoga
#sharab شعر
Pila saqiya mai-e-jaan pila ki main laaun phir KHabar-e-junoon
Ye KHirad ki raat chhaTe kahin nazar aae phir sahar-e-junoon
#sharab شعر
zikr se rindon ke waiz tu abhi waqif nahinye to hu-haq ki sada hai shor-e-rindana nahin
#sharab شعر
main nazar se pi raha tha to ye dil ne bad-dua di
tera hath zindagi bhar kabhi jam tak na pahunche
#sharab شعر
ye bazm-e-mai hai yan kotah-dasti mein hai mahrumi
jo baDh kar KHud uTha le hath mein mina usi ka hai
#sharab شعر
Apni biti kaise sunaen mad-masti ki baaten hain
'Mira-ji' ka jivan bita paas ke ik mai-KHane mein
#sharab شعر
Bajae mai diya pani ka ek gilas mujhe
Samajh liya mere saqi ne bad-hawas mujhe
Showing 1 to 11 of 11 items