Ticket Helpline: +91 98765 43210
شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Theme: #khudi ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 13 Couplets available
#khudi شعر
Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud poochhe bata teri raza kya hai
#khudi شعر
KHudi ka nashsha chaDha aap mein raha na gayaKHuda bane the 'yagana' magar bana na gaya
#khudi شعر
jahaaN rang-o-buu hai aur maiN huuN
bahaar-e-aarzuu hai aur maiN huuN
#khudi شعر
kyaa tuu ne khilaae chaman bazm meN 'kaifii'
kyaa rang-e-gul afshaa-e-guftaar hai teraa
#khudi شعر
sahil ke sukun se kise inkar hai lekin
tufan se laDne mein maza aur hi kuchh hai
#khudi شعر
but banane pujne phir todne ke waste
khud-parasti ko naya har roz patthar chahiye
#khudi شعر
banaenge nai duniya hum apni
teri duniya mein ab rahna nahin hai
#khudi شعر
har mulk is ke aage jhukta hai ehtiraman
har mulk ka hai father hindostan hamara
#khudi شعر
aatā huuñ maiñ zamāne kī āñkhoñ meñ raat din
lekin ḳhud apnī nazroñ se ab tak nihāñ huuñ maiñ
#khudi شعر
raushan hai mera nam baDa namwar hun main
shahid hain aasman ke sitare qamar hun main
#khudi شعر
na kisi ki aankh ka nur hun na kisi ke dil ka qarar hun
jo kisi ke kaam na aa sake main wo ek musht-e-ghubar hun
#khudi شعر
sirf hāthoñ ko na dekho kabhī āñkheñ bhī paḌho
kuchh savālī baḌe ḳhuddār huā karte haiñ
#khudi شعر
Urdu hai jis ka naam hamiin jaante hain 'Daagh'Hindostaan mein dhuum hamaari zabaan ki hai
Showing 1 to 13 of 13 items