Ticket Helpline: +91 98765 43210
شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 50 Couplets available
#hijr شعر
tark-e-ta.alluqāt pe royā na tū na maiñ
lekin ye kyā ki chain se soyā na tū na maiñ
#zindagi شعر
burā na maan 'ziyā' us kī sāf-goī kā
jo dard-mand bhī hai aur be-adab bhī nahīñ
#ishq شعر
itnā sochā tujhe ki duniyā ko
ham ne terī nigāh se dekhā
#ishq شعر
ye samajh ke maanā hai sach tumhārī bātoñ ko
itne ḳhūb-sūrat lab jhuuT kaise boleñge
#hijr شعر
chhoḌne maiñ nahīñ jaatā use darvāze tak
lauT aatā huuñ ki ab kaun use jaatā dekhe
#dard شعر
suunii suunii sii hai har bazm-e-suḳhan tere baad
ḳhatm hai silsila-e-azmat-e-fan tere baad
#hijr شعر
aisaa nahiiñ ki ek meraa ghar udaas hai
tere baghair jo bhii hai manzar udaas hai
#ishq شعر
badan meñ jaise lahuu taaziyaana ho gayaa hai
use gale se lagaae zamaana ho gayaa hai
#zindagi شعر
uTho ye manzar-e-shab-taab dekhne ke liye
ki niiñd shart nahiiñ ḳhvaab dekhne ke liye
#zindagi شعر
kis tarah jamaa kiijiye ab apne aap ko
kaaghaz bikhar rahe haiñ puraanii kitaab ke
#ishq شعر
jiitaa hai sirf tere liye kaun mar ke dekh
ik roz merii jaan ye harkat bhii kar ke dekh
#zindagi شعر
maut aaegii us se mil leNge
ab chalo zindagii se milte haiN
#zindagi شعر
jin kaa maqsad fareb hotaa hai
vo baDii saadgii se milte haiN
#sharab شعر
chorii KHudaa se jab nahiiN bandoN se kis liye
chhupne meN kuchh mazaa nahiiN sab ko dikhaa ke pii
#zindagi شعر
abas naadaaniyoN par aap apnii naaz karte haiN
abhii dekhii kahaaN haiN aap ne naadaaniyaaN merii
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more
Showing 51 to 100 of 309 items