Ticket Helpline: +91 98765 43210
شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Letter: Y ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 17 Couplets available
#Philosophy شعر
Ye aaina jo sachai bayaan karta hai
Zamana iske muqabil khada nazar aaya
#sharab شعر
dur se dekhne ka 'yas' gunahgar hun mainaashna tak na hue lab kabhi paimane se
#zindagi شعر
dard ho to dawa bhi mumkin haiwahm ki kya dawa kare koi
#inqilab شعر
sab tere siwa kafir aaKHir is ka matlab kyasar phira de insan ka aisa KHabt-e-mazhab kya
#khudi شعر
KHudi ka nashsha chaDha aap mein raha na gayaKHuda bane the 'yagana' magar bana na gaya
#tanhai شعر
aa rahi hai ye sada kan mein viranon sekal ki hai baat ki aabaad the diwanon se
#ishq شعر
ye samajh ke maanā hai sach tumhārī bātoñ ko
itne ḳhūb-sūrat lab jhuuT kaise boleñge
#hijr شعر
yaa-rab GHam-e-hijraaN meN itnaa to kiyaa hotaa
jo haath jigar par hai vo dast-e-du.aa hotaa
#zindagi شعر
yun to marne ke liye zahr sabhi pite hain
zindagi tere liye zahr piya hai main ne
#hijr شعر
ye kis maqam pe sujhi tujhe bichhaDne ki
ki ab to ja ke kahin din sanvarne wale the
#ishq شعر
yaad rakhna hi mohabbat mein nahin hai sab kuchh
bhul jaana bhi baDi baat hua karti hai
#zindagi شعر
ye sach hai rañg badaltā thā vo har ik lamha
magar vahī to bahut kāmyāb chehrā thā
#dard شعر
Ye ilm ka sauda ye risale ye kitaben
Ek shakhs ki yaadon ko bhulane ke liye hain
#sharab شعر
ye bazm-e-mai hai yan kotah-dasti mein hai mahrumi
jo baDh kar KHud uTha le hath mein mina usi ka hai
#husn شعر
Yun muskurae jaan si kaliyon mein paD gai
Yun lab-kusha hue ki gulistan bana diya
Showing 15 of 17 on this page • Scroll or click for more
Showing 1 to 17 of 17 items