Ticket Helpline: +91 98765 43210
شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Letter: W ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 14 Couplets available
#khudi شعر
but banane pujne phir todne ke waste
khud-parasti ko naya har roz patthar chahiye
#zindagi شعر
maangne walon ko kya izzat o ruswai se
dene walon ki amiri ka bharam khulta hai
#ishq شعر
hum ne aalam se bewafai ki
ek mashuq-e-bewafa ke liye
#husn شعر
donon ne baDhai raunaq-e-husn
shoKHi ne kabhi kabhi haya ne
#ishq شعر
tu hum se hai bad-guman sad afsos
tere hi to jaan-nisar hain hum
#zindagi شعر
zamana bhi mujh se na-muwafiq main aap bhi dushman-e-salamat
taajjub is ka hai bojh kyunkar main zindagi ka uTha raha hun
#ishq شعر
aziz agar nahin rakhta na rakh zalil hi rakh
magar nikal na tu apni anjuman se mujhe
#ishq شعر
vo KHush-kalam hai aisa ki us ke pas hamein
tawil rahna bhi lagta hai muKHtasar rahna
#tanhai شعر
ab to aaram karen sochti aankhen meri
raat ka aaKHiri tara bhi hai jaane wala
#hijr شعر
waqt do mujh par kaThin guzre hain sari umr mein
ek tere aane se pahle ek tere jaane ke baad
#ishq شعر
Wafa ka ahd tha dil ko sambhaalne ke liyeWo hans paDe mujhe mushkil mein Daalne ke liye
#hijr شعر
wo raaten chand ke sath gain wo baaten chand ke sath gain
ab sukh ke sapne kya dekhen jab dukh ka suraj sar par ho
#inqilab شعر
Watan ki KHak se mar kar bhi hum ko uns baqi hai
Maza daman-e-madar ka hai is miTTi ke daman mein
#ishq شعر
Wafa tujh se ai bewafa chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun
Showing 1 to 14 of 14 items