Ticket Helpline: +91 98765 43210
36
Text:
GHAZAL

Sab kahaan kuchh lala-o-gul mein numaayaan ho gayin

Sab kahaan kuchh lala-o-gul mein numaayaan ho gayin
Khaak mein kya sooratein hongi ke pinhaan ho gayin
Yaad thiin ham ko bhi rangaa-rang bazm-aaraaiyaan
Lekin ab naqsh-o-nigaar-e-taaq-e-nisyaan ho gayin
Thiin banaat-un-na'sh-e-gardoon din ko parde mein nihaan
Shab ko un ke ji mein kya aai ke uryaan ho gayin
Qaid mein Ya'qoob ne li go na Yoosuf ki khabar
Lekin aankhein rauzan-e-deewaar-e-zindaan ho gayin
Sab raqeebo'n se hoon na-khush par zanaan-e-Misr se
Hai Zulaikha khush ke mahv-e-maah-e-Kan'aan ho gayin
Joo-e-khoon aankho'n se behne do ke hai shaam-e-firaaq
Main ye samjhoon ga ke sham'ein do farozaan ho gayin
In pari-zaado'n se lenge khuld mein ham intiqam
Qudrat-e-haq se yahi hoorein agar vaan ho gayin
Neend us ki hai dimaagh us ka hai raatein us ki hain
Teri zulfein jis ke baazu par pareshaan ho gayin
Main chaman mein kya gaya goya dabistaan khul gaya
Bulbulein sun kar mere naale ghazal-khvaan ho gayin
Wo nigaahein kyun hui jaati hain ya-rab dil ke paar
Jo meri kotaahi-e-qismat se mizhgaan ho gayin
Bas ke roka main ne aur seene mein ubhriin pai-ba-pai
Meri aahein bakhiya-e-chaak-e-garebaan ho gayin
Vaan gaya bhi main to un ki gaaliyo'n ka kya jawaab
Yaad thiin jitni duaayein sarf-e-darbaan ho gayin
Jaan-fiza hai baada jis ke haath mein jaam aa gaya
Sab lakeerein haath ki goya rag-e-jaan ho gayin
Ham muvahhid hain hamaara kesh hai tark-e-rusoom
Millatein jab mit gayin ajzaa-e-eemaan ho gayin
Ranj se khugar hua insaan to mit jaata hai ranj
Mushkilein mujh par padeen itni ke aasaan ho gayin
Yun hi gar rota raha Ghalib to aye ahl-e-jahaan
Dekhna in bastiyo'n ko tum ke veeraan ho gayin

Interpretation & Literary Context | تشریح و مفہوم

Critical nuances, poetic imagery and philosophical themes

Scholarly interpretation and commentary for this composition is currently being prepared.

اس کلام کی ادبی تشریح و مفہوم عنقریب شامل کی جائے گی۔

Share this poem:
WhatsApp Share
Sharing in: English