Dil-e-nadaan tujhe hua kya hai
Aakhir is dard ki dawa kya hai
Ham hain mushtaaq aur wo bezaar
Ya ilahi ye maajra kya hai
Main bhi munh mein zabaan rakhta hoon
Kaash poochho ke mudda'a kya hai
Jab ke tujh bin nahi koi maujood
Phir ye hangaama aye khuda kya hai
Ye pari-chehra log kaise hain
Ghamza-o-ishwa-o-adaa kya hai
Shikan-e-zulf-e-ambareen kyun hai
Nigah-e-chashm-e-surma-sa kya hai
Sabza-o-gul kahaan se aaye hain
Abr kya cheez hai hawa kya hai
Ham ko un se wafa ki hai ummeed
Jo nahi jaante wafa kya hai
Haan bhala kar tera bhala hoga
Aur darwesh ki sada kya hai
Jaan tum par nisaar karta hoon
Main nahi jaanta dua kya hai
Main ne maana ke kuch nahi Ghalib
Muft haath aaye to bura kya hai
Interpretation & Literary Context | تشریح و مفہوم
Critical nuances, poetic imagery and philosophical themes
Scholarly interpretation and commentary for this composition is currently being prepared.
اس کلام کی ادبی تشریح و مفہوم عنقریب شامل کی جائے گی۔
Mirza Ghalib