Ticket Helpline: +91 98765 43210
28,540
Text:
NAZM

Mujh Se Pehli Si Mohabbat Mere Mehboob Na Maang

Mujh se pehli si mohabbat mere mehboob na maang
Maine samjha tha ke tu hai to darakhshan hai hayat
Tera gham hai to gham-e-dehr ka jhagda kya hai
Teri soorat se hai aalam mein baharon ko sabaat
Teri aankhon ke siwa duniya mein rakkha kya hai
Tu jo mil jaaye to taqdeer nigoon ho jaaye
Yoon na tha maine faqat chaha tha yoon ho jaaye
Aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siwa
Rahatein aur bhi hain wasl ki rahat ke siwa
Anginat sadiyon ke tareek baheemana tilism
Resham-o-atlas-o-kamkhwab mein bunwaye hue
Jaa-ba-jaa bikte hue koocha-o-bazar mein jism
Khaak mein lithde hue khoon mein nehlaye hue
Laut jaati hai idhar ko bhi nazar kya keejiye
Ab bhi dilkash hai tera husn magar kya keejiye
Aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siwa
Rahatein aur bhi hain wasl ki rahat ke siwa
Mujh se pehli si mohabbat mere mehboob na maang

Interpretation & Literary Context | تشریح و مفہوم

Critical nuances, poetic imagery and philosophical themes

Scholarly interpretation and commentary for this composition is currently being prepared.

اس کلام کی ادبی تشریح و مفہوم عنقریب شامل کی جائے گی۔

Share this poem:
WhatsApp Share
Sharing in: English