Hum dekhenge
Lazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ke jis ka wada hai
Jo lauh-e-azal mein likha hai
Jab zulm-o-sitam ke koh-e-giran
Rooyi ki tarah ud jaenge
Hum mehkumon ke paaon tale
Ye dharti dhar dhar dhadkegi
Aur ahl-e-hakam ke sar oopar
Jab bijli kad kad kadkegi
Jab arz-e-khuda ke kaabe se
Sab but uthwaye jaenge
Hum ahl-e-safa mardood-e-haram
Masnad pe bithaye jaenge
Sab taaj uchhale jaenge
Sab takht giraye jaenge
Bas naam rahega Allah ka
Jo ghayab bhi hai hazir bhi
Jo manzar bhi hai nazir bhi
Utthega anal-haq ka naara
Jo main bhi hoon aur tum bhi ho
Aur raaj karegi khalq-e-khuda
Jo main bhi hoon aur tum bhi ho
Hum dekhenge!
Interpretation & Literary Context | تشریح و مفہوم
Critical nuances, poetic imagery and philosophical themes
Scholarly interpretation and commentary for this composition is currently being prepared.
اس کلام کی ادبی تشریح و مفہوم عنقریب شامل کی جائے گی۔
Faiz Ahmed Faiz