Ticket Helpline: +91 98765 43210
شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 50 Couplets available
#ishq شعر
hum ne aalam se bewafai ki
ek mashuq-e-bewafa ke liye
#husn شعر
donon ne baDhai raunaq-e-husn
shoKHi ne kabhi kabhi haya ne
#ishq شعر
tu hum se hai bad-guman sad afsos
tere hi to jaan-nisar hain hum
#zindagi شعر
zamana bhi mujh se na-muwafiq main aap bhi dushman-e-salamat
taajjub is ka hai bojh kyunkar main zindagi ka uTha raha hun
#ishq شعر
aziz agar nahin rakhta na rakh zalil hi rakh
magar nikal na tu apni anjuman se mujhe
#zindagi شعر
latāfat meñ hai jiyūñ khūbāñ kī abrū
har yak misra jo hai barjasta merā
#zindagi شعر
ahe tāza chaman paivasta merā
shagufta hai sadā guldasta merā
#ishq شعر
ai dil-ārām maiñ jidhar jā'ūñ
dil koñ terīch pās dhar jā'ūñ
#zindagi شعر
jikoī irfān ke sāhib sachche haiñ sokte haiñ yūñ
ki yāñ to koī na'īñ dastā ghawwāsī ke qarīne kā
#sharab شعر
pilā mad-mast ai sāqī ki munj ādat hai pīne kā
ho sar-khush daur yak-dharte karūñ gā zang sīne kā
#ishq شعر
chandr-badan kahiyā to kahī mūñ sanbhāl bol
sūraj-mukhī kahiyā to kahī yūñ na ghāl bol
#ishq شعر
tālib haiñ nusratī ke nain tujh dars ke roz
mangte pe mehrbāñ ho na detā hai dān kyā
#hijr شعر
dekho sakhiyāñ merā piyā kis sej rahtā sād se
munjh chhoṛ kar vaqt āpnā bhī ka'īñ gumātā sād se
#khudi شعر
banaenge nai duniya hum apni
teri duniya mein ab rahna nahin hai
#ishq شعر
mat bura us ko kaho garche vo achchha bhi nahin
vo na hota to ghazal main kabhi kahta bhi nahin
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more
Showing 201 to 250 of 667 items