شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी
Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)
Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.
Explore by Theme
50 Couplets available
All Themes (تمام موضوعات)
Love (Ishq)
(عشق و محبت)
Pain & Sorrow (Dard)
(درد و غم)
Philosophy & Life (Zindagi)
(زندگی و فلسفہ)
Separation (Hijr)
(ہجر و جدائی)
Beauty & Beloved (Husn)
(حسن و محبوب)
Sufism & Mysticism (Tasawwuf)
(تصوف و روحانیت)
Revolution & Hope (Inqilab)
(انقلاب و امید)
Solitude (Tanhai)
(تنہائی)
Selfhood & Pride (Khudi)
(خودی و غیرت)
Tavern & Wine (Sharab)
(مے و مے خانہ)
Aish Dehlvi
عیش دہلوی
•
ऐश देहलवी
Classical Era
#dard
شعر
siine mein ik khatak si hai aur bas
hum nahin jaante ki kya hai dil
#dard
شعر
Sham'a-e-shab-e-firaaq bane hum to Mushafi
Hum dil-jalon ko aish ki mehfil se kya khabar
#dard
شعر
Bedil jo koi hua to use dil se kya khabar?
Doobe hue ko bahr ke saahil se kya khabar?
#dard
شعر
Khwaabeeda raha khoon-e-mira koo-e-butaan mein
Sau fitne uthe khaak se par ek na jaaga
#dard
شعر
Kya dhoondhe hai asbaab-e-rafu zakhm-e-jigar ka?
Yaan sozan-e-Eesa ko mayassar nahin taaga
#dard
شعر
Kis raat mein is fikr se ta subh na jaaga?
Kab shokh-e-tasawwur tera aage se na bhaaga?
#dard
شعر
Aankhon se bahr-e-ashk ko hone de mauj-zan
Hum tujh se tab kahenge ke saahil kidhar chala?
#dard
شعر
Maanind-e-gard-baad hai kuchh ru ba-aasmaan
Aawaargaan-e-shauq ka mahmil kidhar chala?
#dard
شعر
Fasana ik taraf shab haaye hijraan ki daraazi ka
Qayamat maajra naalon ki hai hangama saazi ka
#dard
شعر
Meri rooh ki haqeeqat mere aansuon se poochho
Mera majlisi tabassum mera tarjuman nahin hai
#dard
شعر
Ye ilm ka sauda ye risale ye kitaben
Ek shakhs ki yaadon ko bhulane ke liye hain
#dard
شعر
Na mudaraat hamari na adu se nafrat
Na wafa hi tumhein aai na jafa hi aai
Meer Syed Ali Ghamgeen Dehlvi
میر سید علی غمگین دہلوی
•
मीर सैयद अली ग़मगीन देहलवी
Classical Era
#dard
شعر
Mujhe jo dosti hai us ko dushmani mujh se
Na iKHtiyar hai us ka na mera chaara hai
#dard
شعر
Kab dard se dil ko tab aaya
Aankhon mein kahan se KHwab aaya
#dard
شعر
Nahin bachta hai bimar-e-mohabbat
Suna hai hum ne 'Goya' ki zabani
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more