Ticket Helpline: +91 98765 43210
شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 11 Couplets available
#hijr شعر
Kamar baandhe hue chalne ko yaan sab yaar baiThe hain
Bahut aage gae baaqi jo hain tayyar baiThe hain
#zindagi شعر
Mujhe ye Dar hai dil-e-zinda tu na mar jaae
Ki zindagaani ibaarat hai tere jine se
#zindagi شعر
Baal apne baDhate hain kis waste diwane
Kya shahr-e-mohabbat mein hajjam nahin hota
#tasawwuf شعر
Tar-daamani pe shaikh hamaari na jaaiyo
Daaman nichoD den to farishte wuzu karen
#ishq شعر
Ai 'Mushafi' tu in se mohabbat na kijiyo
Zaalim ghazab hi hoti hain ye dilli waliyan
#ishq شعر
Us ne gaali mujhe di ho ke 'itaab-aaluda
Aur main saada use lutf-e-zabaani samjha
#zindagi شعر
Zindagi hai ya koi tufaan hai!
Ham to is jine ke haathon mar chale
#dard شعر
'Mushafi' ham to ye samjhe the ke hoga koi zakhm
Tere dil mein to bahut kaam rafu ka nikla
#tasawwuf شعر
Jag mein aa kar idhar udhar dekha
Tu hi aaya nazar jidhar dekha
#tasawwuf شعر
Dard-e-dil ke vaaste paida kiya insaan ko
Warna taa'at ke liye kuchh kam na the karobiyaan
#zindagi شعر
Duniya mein hun duniya ka talabgar nahin hun / Bazaar se guzra hun kharidar nahin hun
Showing 701 to 711 of 711 items