Ticket Helpline: +91 98765 43210
شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Theme: #husn ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 13 Couplets available
#husn شعر
thii raat jo yakaayak din dekhne lage sab
jab 'aaftaab' us ne ruKH se uThaa lii zulfeñ
#husn شعر
dekho to kis adaa se ruKH par hain Daalii zulfeñ
juuñ maar Dastii hain dil dilbar kii kaalii zulfeñ
#husn شعر
jab GHunche ne sar apnaa garebaaN se nikaalaa
bulbul ne qadam phir na gulistaaN se nikaalaa
#husn شعر
banāvaT vaz.a-dārī meñ ho yā be-sāḳhta-pan meñ
hameñ andāz vo bhātā hai jis meñ kuchh adā nikle
#husn شعر
tere singār ke ban meñ tamāshā meñ nawal dekhā
sarv ke jhāṛ koñ nirmal anārāñ se do phal dekhā
#husn شعر
abrū kā ishāra kiyā tum ne to huī iid
ai jaan yahī hai mah-e-shavval hamārā
#husn شعر
bose lete haiñ chashm-e-jānāñ ke
ham hiran kā shikār karte haiñ
#husn شعر
har ishq se mere hii tere husn kaa shohraa
main kuchh nahiin par garmii-e-baazaar huun teraa
#husn شعر
hijaab-e-rukh-e-yaar the aap hii ham
khulii aankh jab koii pardaa na dekhaa
#husn شعر
tha sam pe ye us pari ka naqsha
sab aankh mila kahte the aa
#husn شعر
kamar dhoka dahan uqda ghazal aankhen pari chehra
shikam hira badan KHushbu jabin dariya zaban isa
#husn شعر
āshiq ko dekhte haiñ dupaTTe ko taan kar
dete haiñ ham ko sharbat-e-dīdār chhān kar
#husn شعر
Chahta hai is jahan mein gar bahishtJa tamasha dekh us ruKHsar ka
Showing 1 to 13 of 13 items