Ticket Helpline: +91 98765 43210
شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Theme: #ishq ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 45 Couplets available
#ishq شعر
kya kahun tujh se mohabbat wo bala hai hamdam
mujh ko ibrat na hui ghair ke mar jaane se
#ishq شعر
'azurda' mar ke kucha-e-jaanan mein rah gaya
di thi dua kisi ne ki jannat mein ghar mile
#ishq شعر
ai dil tamam nafa hai sauda-e-ishq mein
ik jaan ka ziyan hai so aisa ziyan nahin
#ishq شعر
shayad isi ka naam mohabbat hai 'shefta'
ik aag si hai sine ke andar lagi hui
#ishq شعر
Mohabbat ki sultani hai sab jagat mein
Ki us sam nahin koi gyani o dani
#ishq شعر
Roz kahta hun ki ab un ko na dekhunga kabhi
Roz us kuche mein ek kaam nikal aata hai
#ishq شعر
Main dekhta hun aap ko hadd-e-nigah tak
Lekin meri nigah ka kya e'tibar hai
#ishq شعر
Pahli nazar bhi aap ki uff kis bala ki thi
Hum aaj tak wo choT hain dil par liye hue
#ishq شعر
main ne 'fani' Dubti dekhi hai nabz-e-kaenatjab mizaj-e-yar kuchh barham nazar aaya mujhe
#ishq شعر
Jadu hai ya tilism tumhaari zaban mein
Tum jhuT kah rahe the mujhe e'tibar tha
#ishq شعر
Dil mohabbat se bhar gaya 'beKHud'
Ab kisi par fida nahin hota
#ishq شعر
Agar dard-e-mohabbat se na insan aashna hota
Na kuchh marne ka gham hota na jine ka maza hota
#ishq شعر
be-murawwat ho bewafa ho tum
apne matlab ke aashna ho tum
#ishq شعر
Sabab hum par khula us shokh ke aansuu nikalne kaa
Dhuaa.n lagtaa hai aankhon mein kisi ke dil ke jalne kaa
#ishq شعر
dafn mahbūb jahāñ haiñ 'nāsiḳh'
qabreñ ham chuum liyā karte haiñ
Showing 15 of 45 on this page • Scroll or click for more
Showing 151 to 195 of 195 items