Ticket Helpline: +91 98765 43210
شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Theme: #ishq ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 50 Couplets available
#ishq شعر
Beemaar rahe hain us ki aankhen
Dekho koi nazar na hove
#ishq شعر
Le tegh o sipar ko tu jidhar ho
Khursheed ka munh udhar na hove
#ishq شعر
ai zulf-e-yar tujh se bhi aashufta-tar hun main
mujh sa na koi hoga pareshan-e-rozgar
#ishq شعر
Sar khol ke, kaafir! na naha nahr ke upar
In baaton se aavegi bala shahr ke upar
#ishq شعر
Us tegh-zan ko, yaaro! mere dil se kya khabar?
Qaatil ko beqaraari-e-bismil se kya khabar?
#ishq شعر
Khat aaye par bhi na chhoda mera dil-e-qaidi
Raha aseer teri zulf-e-pur-shikan mein der
#ishq شعر
Kal dekh ke mujh ko jo sar-e-rah se woh bhaaga
Main koocha badal daud ke us ka liya aaga
#ishq شعر
Kis shab mein na ki fikr-e-khush andaaz, sukhan mein?
Kis roz nishaane pe mera teer na laaga?
#ishq شعر
Fitna-e-taaza zamaane mein hua hai paida
Us ke aage se tu ai fitna! adab kar chalna
#ishq شعر
Tik dekhta tu ja, tera bismil kidhar chala
Kar zabah us ko haaye tu qaatil kidhar chala?
#ishq شعر
Khursheed ho gaya khajil, apne azaar se
Parda jo tu ne, ai but-e-mahwash! ulat diya
#ishq شعر
Na mehr o lutf, ne gaahe nigaah aur ne kabhi milna
Bayaan kya kijiye Allah teri be-niyaazi ka!
#ishq شعر
Tere KHayaal ke deewar-o-dar banate hain
Hum apne ghar mein bhi tera hi ghar banate hain
#ishq شعر
Log kahte hain ki tu ab bhi KHafa hai mujh se
Teri aankhon ne to kuchh aur kaha hai mujh se
#ishq شعر
Aalam mein agar ishq ka bazar na hota
Koi kisi bande ka KHridar na hota
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more
Showing 101 to 150 of 195 items