Ticket Helpline: +91 98765 43210
شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Theme: #tasawwuf ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 22 Couplets available
#tasawwuf شعر
Ek hi sher ko kitni baar likha, phir bhi parhne mein lutf na aaya.
Alfaaz tabdeel karne ki koshish karta raha, bahut koshishon ke baad bhi kamyab na hua.
Phir sher waise hi chhor diya, ye samajh kar ke sher kar raha hai ek haqeeqat ka bayan — Kamal.
#tasawwuf شعر
jo main din-raat yun gardan jhukae baiTha rahta hun
teri taswir si dil mein khinchi ma'lum hoti hai
#tasawwuf شعر
'chanda' rahe partav se tere ya ali raushan
KHurshid ko hai dar se tere sham-o-sahar faiz
#tasawwuf شعر
Surat-e-gul mein khilkhila ke hansa
Shakl-e-bulbul mein chahchaha dekha
#tasawwuf شعر
Ham ko yaan dar-dar phiraya yaar ne
La-makan mein ghar banaya yar ne
#tasawwuf شعر
gori sove sej par mukh par Dare kes
chal 'KHusro' ghar aapne rain bhai chahun des
#tasawwuf شعر
Main us ko Kaaba o but-khana mein kyun dhundne niklun
Mere toote hue dil hi ke andar hai qiyam us ka
#tasawwuf شعر
Taarif us Khuda ki jis ne jahan banaya
Kaisi zamin banai kya aasman banaya
#tasawwuf شعر
Kabhu jo shaikh dikhaun main apne but ke taiin
Ba-rabb-e-Kaaba tujhe hasrat-e-haram na rahe
#tasawwuf شعر
Shah-e-bekhudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi
Na khirad ki bakhya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi
#tasawwuf شعر
Woh ajab ghadi thi main jis ghadi liya dars nuskha-e-ishq ka
Ki kitab-e-aql ki taq par jun dhari thi tiun hi dhari rahi
#tasawwuf شعر
Khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi
Na tu tu raha na tu main raha jo rahi so bekhbari rahi
#tasawwuf شعر
rakh li mere KHuda ne gunahon ki mere sharm
zahid ko apne zohd pe kitna ghurur tha
#tasawwuf شعر
Ek aisi bhi tajalli aaj mai-KHane mein hai
Lutf pine mein nahin hai balki kho jaane mein hai
#tasawwuf شعر
Aashiqi se milega ai zaahidBandagi se khuda nahin milta
Showing 15 of 22 on this page • Scroll or click for more
Showing 51 to 72 of 72 items