Ticket Helpline: +91 98765 43210
شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Theme: #ishq ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 50 Couplets available
#ishq شعر
Kaha main ne baat wo kothe ki mere dil se saaf utar gayi
To kaha ki jaane meri bala tumhein yaad ho ki na yaad ho
#ishq شعر
Suno zikr hai kai saal ka ki kiya ek aap ne wa'da tha
So nibaahane ka to zikr kya tumhein yaad ho ki na yaad ho
#ishq شعر
Kabhi hum mein tum mein bhi chaah thi kabhi hum se tum se bhi raah thi
Kabhi hum bhi tum bhi the aashna tumhein yaad ho ki na yaad ho
#ishq شعر
Koi baat aisi agar hui ki tumhare ji ko buri lagi
To bayan se pahle hi bhulna tumhein yaad ho ki na yaad ho
#ishq شعر
Hue ittifaq se gar baham to wafa jatane ko dam-ba-dam
Gila-e-malamat-e-aqriba tumhein yaad ho ki na yaad ho
#ishq شعر
Kabhi baithe sab mein jo ru-ba-ru to ishaaraton hi se guftagu
Wo bayan shauq ka barmala tumhein yaad ho ki na yaad ho
#ishq شعر
Wo nae gile wo shikayatein wo maze maze ki hikayatein
Wo har ek baat pe ruthna tumhein yaad ho ki na yaad ho
#ishq شعر
Wo jo lutf mujh pe the peshtar wo karam ki tha mere haal par
Mujhe sab hai yaad zara zara tumhein yaad ho ki na yaad ho
#ishq شعر
Wo jo hum mein tum mein qaraar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
Wahi ya'ni wa'da nibaah ka tumhein yaad ho ki na yaad ho
#ishq شعر
badan meñ jaise lahuu taaziyaana ho gayaa hai
use gale se lagaae zamaana ho gayaa hai
#ishq شعر
jiitaa hai sirf tere liye kaun mar ke dekh
ik roz merii jaan ye harkat bhii kar ke dekh
#ishq شعر
GHairoN se kahaa tum ne GHairoN se sunaa tum ne
kuchh ham se kahaa hotaa kuchh ham se sunaa hotaa
#ishq شعر
hairaaN thaa ki dil meraa kahaaN jaa ke chhupaa hai
jugnuu kii tarah yaar kii dastaar meN chamkaa
#ishq شعر
aataa nahiiN jo saamne maare hijaab ke
ham dil se haiN nisaar usii aaftaab ke
#ishq شعر
ham un ke sitam ko bhi karam jaan rahe hain
aur wo hain ki is par bhi bura maan rahe hain
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more
Showing 51 to 100 of 195 items