Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
Aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa
Pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
Rasm-o-rah-e-duniya hi nibhane ke liye aa
Kis kis ko batayenge judai ka sabab hum
Tu mujh se khafa hai to zamane ke liye aa
Ik umr se hoon lazzat-e-girya se bhi mehroom
Ae rahat-e-jaan mujhko rulane ke liye aa
Ab tak dil-e-khush-fehm ko tujh se hain umeedein
Ye aakhri shammein bhi bujhane ke liye aa
Interpretation & Literary Context | تشریح و مفہوم
Critical nuances, poetic imagery and philosophical themes
Scholarly interpretation and commentary for this composition is currently being prepared.
اس کلام کی ادبی تشریح و مفہوم عنقریب شامل کی جائے گی۔
Ahmad Faraz