Ticket Helpline: +91 98765 43210
شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Letter: S ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 34 Couplets available
#dard شعر
KHamoshi se musibat aur bhi sangin hoti hai
taDap ai dil taDapne se zara taskin hoti hai
#ishq شعر
'Abas dil be-kasi pe apni tuun har waqt rota hai
Na kar gham ai diwane 'ishq mein aisa hi hota hai
#tasawwuf شعر
Surat-e-gul mein khilkhila ke hansa
Shakl-e-bulbul mein chahchaha dekha
#tasawwuf شعر
Ham ko yaan dar-dar phiraya yaar ne
La-makan mein ghar banaya yar ne
#hijr شعر
shaban-e-hijran daraaz chun zulf o roz-e-waslat chun umr-e-kotah
sakhi piya ko jo main na dekhun to kaise kaTun andheri ratiyan
#zindagi شعر
Apni miTTi hai kahan ki kya KHabar baad-e-saba
Ho pareshan dekhiye kis kis jagah musht-e-ghubar
#sharab شعر
Bajae mai diya pani ka ek gilas mujhe
Samajh liya mere saqi ne bad-hawas mujhe
#ishq شعر
Tere aane se yu khushi hai dil
Jun ki bulbul bahar ki khatir
#dard شعر
Jis taraf ko main gaya rota hua
Ta falak ro-e-zamin darya hua
#zindagi شعر
Jis ne paya use so hai khamosh
Jis ne paya nahin so bakta hai
#tasawwuf شعر
Kabhu jo shaikh dikhaun main apne but ke taiin
Ba-rabb-e-Kaaba tujhe hasrat-e-haram na rahe
#zindagi شعر
Tahqiq ki nazar sin aakhir ko hum ne dekha
Aksar hain mal wale kam hain kamal wale
#ishq شعر
Mat karo shama ko badnaam jalati woh nahin
Aap sin shauq patangon ko hai jal jane ka
#tasawwuf شعر
Shah-e-bekhudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi
Na khirad ki bakhya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi
#tasawwuf شعر
Woh ajab ghadi thi main jis ghadi liya dars nuskha-e-ishq ka
Ki kitab-e-aql ki taq par jun dhari thi tiun hi dhari rahi
Showing 15 of 34 on this page • Scroll or click for more
Showing 101 to 134 of 134 items