Ticket Helpline: +91 98765 43210
شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Couplets by Mir Taqi Mir (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Poet: Mir Taqi Mir × Letter: S ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 11 Couplets available
#ishq شعر
Saad-e-seemeen donon us ke haath mein la kar chhod diye
Bhoole us ke qaul-o-qasam par haaye khayaal-e-khaam kiya
#ishq شعر
Subh chaman mein us ko kahin takleef hawa le aayi thi
Rukh se gul ko mol liya qaamat se sarv ghulaam kiya
#tasawwuf شعر
Shaikh jo hai masjid mein nanga raat ko tha maikhaane mein
Jabba khirqa karta topi masti mein inaam kiya
#ishq شعر
Sarzad hum se be-adabi to wahshat mein bhi kam hi hui
Koson us ki or gaye par sajda har gaam kiya
#ishq شعر
Saaye zinda-baash jahaan ke tujh se sujood mein hai nahin
Baanke tedhe tirchhe teekhe sab ka tujh ko imaam kiya
#dard شعر
Saare dekhe hue hain Dilli ke attaar-o-tabeeb
Dil ki beemaari ki kis paas dawa nikle hai
#dard شعر
Soz-e-seene ka bhi dilchasp bala hai apna
Daagh jo nikle hai chhaati se gumaan nikle hai
#zindagi شعر
Sahl hai Mir ka samajhna kya
Har sukhan us ka ik maqaam se hai
#zindagi شعر
Sher mere hain sab khawaas pasand
Par mujhe guftagu awaam se hai
#dard شعر
Soorat jaras ki tarz-e-biyaabaan mein haaye Mir
Tanha chala hoon main dil-e-pur shor ko liye
#dard شعر
Sad kaarwaan wafa hai koi poochhta nahin
Goya mataa-e-dil ke khareedaar mar gaye
Showing 1 to 11 of 11 items