Ticket Helpline: +91 98765 43210
شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 50 Couplets available
#zindagi شعر
marne ke din qarib hain shayad ki ai hayat
tujh se tabiat apni bahut sair ho gai
#tasawwuf شعر
rakh li mere KHuda ne gunahon ki mere sharm
zahid ko apne zohd pe kitna ghurur tha
#dard شعر
dilli chhuTi thi pahle ab lucknow bhi chhoDen
do shahar the ye apne donon tabah nikle
#husn شعر
Dil ki bisat kya thi nigah-e-jamal mein
Ik aaina tha TuuT gaya dekh-bhaal mein
#zindagi شعر
Kahani hai to itni hai fareb-e-KHwab-e-hasti ki
Ki aankhen band hon aur aadmi afsana ho jae
#ishq شعر
Roz kahta hun ki ab un ko na dekhunga kabhi
Roz us kuche mein ek kaam nikal aata hai
#ishq شعر
Main dekhta hun aap ko hadd-e-nigah tak
Lekin meri nigah ka kya e'tibar hai
#zindagi شعر
Umr-e-daraaz mang ke lai thi chaar din
Do aarzu mein kaT gae do intizar mein
#tasawwuf شعر
Ek aisi bhi tajalli aaj mai-KHane mein hai
Lutf pine mein nahin hai balki kho jaane mein hai
#husn شعر
Yun muskurae jaan si kaliyon mein paD gai
Yun lab-kusha hue ki gulistan bana diya
#ishq شعر
Pahli nazar bhi aap ki uff kis bala ki thi
Hum aaj tak wo choT hain dil par liye hue
#husn شعر
Zahid ne mera hasil-e-iman nahin dekha
RuKH par teri zulfon ko pareshan nahin dekha
#zindagi شعر
Chala jata hun hansta khelta mauj-e-hawadis se
Agar aasaniyan hon zindagi dushwar ho jae
#tanhai شعر
ruh ghabrai hui phirti hai meri lash parkya janaze par mere KHat ka jawab aane ko hai
#dard شعر
rone ke bhi aadab hua karte hain 'fani'ye us ki gali hai tera gham-KHana nahin hai
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more
Showing 251 to 300 of 309 items